Exam Marks Percentage kaise pata kare, aaj hum iske baare me janege. Kuch hi dino pehle 12th And 10th class ka result aaya hai, jo student pass huye hai unko bahut bahut congratulations and jo student pass nahi huye woh dil chota mat kare agle saal ke liye aur jyada hardwork kare.
Dosto jab result aata hai maine bahut saare student ko dekha hai jinko marks ki percentage nikaalne me problem aati hai. Aaj main aapko is post me bataunga Exam marks Ki Percentage kaise pata kare Online And Calculator Se.
Marks percentage pata karne ke yeh sabse asaan tareeka hai jisme aap bina dimag lagaye easy way se marks ki percentage nikaal sakte hai online tools ki help se toh chaliye jante hai ke marks percentage kaise pata kare.
Exam Marks Percentage Kaise Pata Kare Online Tool
Aap apne marks neeche box me daalkar check kar sakte hai. Marks daalne ka tarika aap neeche jaan sakte hai.
[CP_CALCULATED_FIELDS id=”1″]
Scored Marks – Isme aapko jitne marks mile hai woh type karne hai.
Out of Marks – Isme aapko jitne numbers me se marks mile hai woh type karne hai.
Example – Mujhe 650 Numbers Me Se 450 Marks Mile Hai. Toh Main jitne marks mile hai 450 usko uper wale box me type karuga, aur jitne numbers me se marks mujhe aaye hai 650 usko main neeche wale box me type karuga.
- GTA Vice City Game Android Mobile Me Download Kaise Kare
- GTA 5 Game Android Mobile Me Run Kaise Kare Jane Hindi Me
Marks daalne ke baad aapko submit par click karna hai uske baad last box me percentage show hone lag jayegi. Point ke pehle jo numbers aayenge woh aapki percentage hogi.
Caluculator Se Exam Marks Ki Percentage Kaise Nikale
Caluclator par percenatge nikalna bahut asaan hai aapko bas neeche likhe step follow karne hai.
1. Sabse pehle calculator on kare, aur neeche bataye huye formule se percentage nikale.
Scored Marks × 100 ÷ Out Of Marks = Percenatge
2. Scored marks matlab jitne numbers aapko mile hai exam me woh sabse pehle calculator me type karne hai.
3. Fir Calculator par Multiply ke sign par click karna hai.
4. Fir Calculator par 100 type kare, uske baad ÷ sign par click kare.
- Kisi Dusre Ke Whatsapp Message Apne Mobile Me Kaise Padhe
- Whatsapp Ke Liye Video Status Download Kaise Aur Kaha Se Kare
5. Last me jitne numbers me se aapko marks mile hai woh type karke = sign ko calculator par press kare.
Iske baad aapke samne exam percentage show hone lagg jayegi.
Example – 475×100÷650 = 73 %
Uper bataye huye 2 method me se jo aapko acha lage aap woh try kare. Agar fir bhi percentage nikalne me koi problem ho toh aap comment karke puch sakte hai.
Waise agar aap first method ka istemal karenge, toh aapko koi problem nahi ayaegi. Toh isliye aap sabse pehle first method ka use karke hi percentage nikale.
But Agar aap kisi wajah se online percentage pata nahi kar pate toh aap upar bataye huye calculator wale method se bhi badi asani se exam marks ki percentage nikal sakte hai.
Conclusion
Is post me hamne Online Exam Marks Percentage kaise nikale iske 2 tariko ke baare me jana. Ab in tariko ka istemal karke apni percentage pata kar sakte hai.
BA.ke result mein pre- marks ka kya matlab hota hai
Bahut achha
BA.ke result mein pre- marks ka kya matlab hota hai
Sir ye bataiye ki Allahabad university ke MA ke result ka percentage kaise nikala jata hai….aur usme cpc kyu nikal jata hai
Thank you
Sir ye bataiye ki Allahabad university ke MA ke result ka percentage kaise nikala jata hai….aur usme cpc kyu nikal jata hai
Bahut achha
Sir me 12th 2012 me fail huwa tha aur 2013 me pass kiya to mera percentage kaise niklega..
maine article me bataya hai aapko jitne numbers aaye hai usko aur jitne me se aaye hai usko dono ko article me batayi huyi website me ja kar fill karna hai iske baad aapko percentage show hone lag jayegi.
Sir back pass ki percent Kai re nikale
Out of marks kya hote hain
kitne numbers me se aaye hai marks usko out of marks kaha jata hai.
sir mai to ssc me fail tha 2013 me 2015 march me pass huva mere to total mark nahi aaye aur math subject ko 2013 me mile the our march 2015 ko 52 mile muze out of mark kaise nikale our total mark mai kaise niklu please muze call karo