Jio Tv Computer or Laptop Me Kaise Dekhe Chalaye

Jio Tv Computer or Laptop Me Kaise Dekhe Chalaye: Dosto Reliance jio ne abhi JioTv web version launch kar diya hai. Jiski help se ab aap Jio Tv ka maza apne desktop, aur laptop me bhi le sakenge. Pehle jio tv aap sirf apne android and ios mobile app me hi dekh sakte the. But abhi aap computer me jio tv website par ja kar badi asani se apna favouirte tv channel watch kar sakte hai.

jio tv computer me kaise dekhe

Dosto Jio Tv ke saath saath aap Jio Cinema ko bhi pc me dekh sakte hai. Reliance jio ne iska bhi web version launch kar diya hai. In dono web version ka interface bilkul Android app jaisa hi hai. Aapko isme har trah ke Tv channel free me mil jayenge. Ab aapko koi extra charges dena ki jarurat nahi hai.

Pc Browser me Jio Tv chalane ke liye aapke paas ek jio sim honi jaruri hai. Without jio sim aap pc par live tv nahi dekh sakte. Isliye aapke paas ek active jio sim ho jis par aapne koi ek recharge karwaya ho.

Note. Aap jio ID se login hone ke baad kisi bhi wifi aur network ka use karke jiotv dekh sakte hai.

Toh dosto jyada time na lagate huye jaan lete hai ke Jio Tv pc me kaise dekhe ja watch jio tv on desktop and laptop hindi

Note. JioTv Web Version kuch time chalne ke baad Ab kisi legal issue ke karn work nahi kar raha hai. But aap Jio Cinema ko pc me chala sakte hai.

Jio Tv or Jio Cinema Pc Me Kaise Chalaye (Web Version)

STEP 1:

Agar aap pc me Jio tv chalana chahte hai, toh aapko jiotv.com par jana hoga. Agar aap jio cinema dekhna chahte hai, toh aapko jiocinema.com website par jana hoga.

STEP 2:

Jaise hi aap website open karle, toh aapko right side me upar ki aur login icon par click karna hoga. icon par click karne ke baad aapke samne ek aisa pop up open hoga.

login to your account

STEP 3:

Ab aapko first option select karna hai Sign in using Jio Number Agar aapne jio id create ki huyi hai, toh aap us se bhi login ho sakte hai. But yaha par hum first option ki help se login karenge.

STEP 4:

Ab aapko apna mobile number enter karna hai, aur uske baad aapko GET OTP par click kar dena hai.

Sign in With Jio Number

STEP 5:

Ab aapke jio number par ik OTP code aayega. Aapko website me woh code enter karke Sign In par click kar dena hai.

enter otp

Sign In karne ke baad aap Jio Cinema or Jio Tv computer par dekh sakte hai. Dosto aap in Dono par isi same tarike se login kar sakte hai. Log In karne ke baad aap Free me is service ka maza le sakte hai.

jio tv web version

Ab aapko kisi bhi live tv website par ja kar koi subscription lene ki jarurat nahi hai, kyuke ab aap free me live tv aur latest movies dekh sakte hai. Jiske liye pehle aapko paise pay karne padte the.

Toh dosto aapko Jio Tv Computer or Laptop Me Kaise Dekhe Chalaye post kaisi lagi aap neeche comment karke jarur bataye.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (9)

  1. जियो टीवी हो या जियो सिनेमा में हम अच्छे अच्छे एंटरटेनमेंट के ऑप्शन मिलते हैं। धन्यवाद

    Reply
  2. Hello,
    Jio TV or jio cinema Me Hame Kafi acche acche entertainment ke option Milte Hain.
    Par problem Yeh hai ki jio TV ki website Abhi under construction chal rahi hai.
    Thanks

    Reply
  3. Hello,
    Jio TV or jio cinema Me Hame Kafi acche acche entertainment ke option Milte Hain.
    Par problem Yeh hai ki jio TV ki website Abhi under construction chal rahi hai.
    Thanks

    Reply
  4. जियो टीवी हो या जियो सिनेमा में हम अच्छे अच्छे एंटरटेनमेंट के ऑप्शन मिलते हैं। धन्यवाद

    Reply

Leave a Comment