Mobile Se Computer Aur Laptop Me Internet Kaise Chalaye: Aaj Main Aapko PC Par Mobile Se Internet Kaise Chalaye Is Ke Baare Mein Btaunga. Jaise Ke Aap Jaante Honge Ke Agar kisi ko Wireless Brodband Internet Connection lagana ho toh kitna Mehnga Padta Hai. Sabhi Lok Usko Afford Nahi Kar sakte. Fir Bhi Agar Aap Apne Pc Ja Fir Laptop Mein Kam Kharch Mein Internet Chalana Chahte Ho, Toh Aap Apne Mobile Ke internet Connection Ko Apne Computer Aur laptop Mein Use Kar sakte Ho. Yeh Tareeka Sabse Asaan aur Sasta Hai.
Mobile Ke Internet Ko Pc Mein Share Karne Ke liye Aapke Paas simple Ek Android Mobile Aur Data Cable Honi Chahiye. Inke Ilawa Aapko Aur kuch lene Ki jarurat Nahi Hai. Bas Aap Apne Mobile Me Ek Acha Sa Data Pack Activate Karwa Le. Toh chaliye Ab Jyada Time Na Lagate huye jaan Lete Hai Ke Mobile Se Computer Aur Laptop Me Internet Kaise Chalaye
Note. Aapke Paas Ek Android Smartphone Hona Chahiye Yeh Treeka Sirf Android Phone Ke Liye Hai.
1. Sabse Pehle Apne Smartphone Ka Data On Kare.
2. Fir Apne Mobile Ko Pc Se Data Cable Ke Jariye Connect Kare.
3. Mobile Ko Data Cable Ke Saath Pc Se Connect Karne Ke Baad Aapko Mobile Me Neeche Batayi Huyi Settings Mein Jana Hoga.
Setting > More Settings > Tethering & Portable Hotspot > Usb Teathring
4. Fir Aapke Samne Usb Teathring Ki Option Aayegi Us Par Click Kare.
- Youtube Ke Liye Animation Video Kaise Banaye Free Me
- Bluetooth Se Internet Wifi Connection Kaise Share Kare
Usb Teathring Par Click Karne Ke Baad Aap Apne Pc ke Browser Me ja Kar Check kare Apke Pc Mein Internet Chal Padhega.
Agar Aapne Apne Phone Mein 3G Ja fir 4G Pack Dalwa Rakha Hoga. Toh Aapko Brodband Jaisi High speed Milegi. Agar Aapke Phone Par 2G Internet Pack Activate Hai, Toh Aapka Internet Slow Chalega Magar Chalega Jarur.
Toh Dosto Ab Aap Jaan Chuke Hai Apne Smartphone Ke Internet Ko Pc Mein Kaise Chalaye. Ab aap is Method Ko Ek Baar Jarur Try Karke Dekhe.
Aapko Hmari Yeh Post Kaisi Laggi Comment Karke Jarur Btaye Agar Koi Problem Aa Rahi Ho Toh Comment Karke Puch Sakte Hai.
Agar Aapko Mobile Se Computer Aur Laptop Me Internet Kaise Chalaye post Achi Laggi Toh Isko Share Aur Like Jarur Kare. New Latest Updates Apne Email Me
Paane Ke Liye Subscribe Jarur Kare
Very Good Information on this blog, please keep it up. Thanks for nice blog
Very Good Information on this blog, please keep it up. Thanks for nice blog