Patanjali Swadeshi Samriddhi Sim Plan Ki Puri Jankari India ka sabse fast grow hone wala brand patanjali ne ab sim card bhi lauch kar diya hai. Patanjali sim baba ramdev ne bsnl telecom company ke saath milke launch kiya hai.
But abhi ke liye yeh sim sirf patanjali ke employees ke liye available hai. Jo aage chal kar sabhi aam logo ke liye bhi available ho jayegi. Swadeshi Samriddhi sim lene par aapko bahut saare benefits milenge. Jiske baare me maine aapko neeche bataya hai.
Toh chaliye jyada time na lagate huye baba ramdev ki sim se milne wale benefits ke baare me jaan lete hai.
Patanjali Swadeshi Samriddhi Sim Benefits
- Agar aapke paas patanjali sim hai, toh aapko patanjali products par 10% discount milega.
- Yeh sim lene par aapko 5 lac ka Accidental Life Insurance aur 2.5 lac ka Health Insurance free me milega.
Patanjali Swadeshi Samriddhi Sim Plan Ki Jankari Hindi Me
Dosto abhi ke liye sirf 3 plans introduce karwaye gaye hai. Jo ke bahut interesting plan hai. Toh chaliye plans ke baare me jaan lete hai.
Patanjali Sim Rs. 144 Plan : Dosto is plan me aapko Unlimited Voice Call milegi, aur iske saath 2GB data PER DAY milega. Is plan ki Validity 28 days tak hogi.
Patanjali Sim Rs. 792 And Rs. 1,584 Plan : In dono plans me bhi aapko Unlimited Voice Call aur 2GB Data PER DAY milega. But Rs 792 Wale plan me aapko 180 days ki validity milegi, aur Rs. 1584 wale plan me aapko 365 days ki validity milegi.
- Mobile Se Direct Video Call Kaise Kare Without Internet
- Mobile Internet Speed Increase Kaise Kare | Best Tips
Dosto yeh sabhi plan aapko patanjali sim card me milenge. But jaise ke maine upar bataya abhi ke liye yeh Sim sirf patanjali employees ke liye hai. Baba Ramdev ka kehna hai ke patanjali swadeshi samradhi sim card jald sabhi logo ke liye available ho jayenge.
Ab aap me se bahut saare logo ke mann me yeh swaal hoga patanjali sim kaha se aur kaise milegi. Toh chaliye iske baare me bhi jaan lete hai.
Patanjali Swadeshi Samriddhi Sim Kaise Aur Kaha Se Kharide
Sim launch ke waqt Baba Ramdev ne kaha tha Bsnl ke pure desh me 5 lakh counter hai. Patanjali sim jald waha par available ho jayega. Phir waha se log sim card kharid sakte hai.
Note. Patanjali sim card ke baare me agar koi new update aata hai, toh aapko isi post me uski jankari mil jayegi.
Toh dosto ab aap neeche comment me bataye aapko baba ramdev ki sim ke plans kaise lage, aur kya aap patanjali sim lene chahoge. ja nahi. Apna opinion neeche jarur share kare is Swadeshi Samriddhi sim card ke baare me.
- JioTv Without Jio Sim Android Mobile Me Kaise Dekhe
- Airtel 4G Hotspot Password And Name Change Kaise Kare
Aapko Patanjali Swadeshi Samriddhi Sim Plan Ki Puri Jankari post kaisi laggi aap neeche comment karke jarur bataye, aur is trah ke new update paane ke liye right taraf Red Colour ki Bell Icon par click karke notification enbale jarur karle.
Very helpful post bro.
Nice Article dear…. Bohat Badiya tarike se btaya ap ne
Nice Article dear…. Bohat Badiya tarike se btaya ap ne
Very helpful post bro.