Reliance Jio ne 5 july 2018 ko jio phone ka next improve version Based on KAI OS Jio Phone 2 launch kar diya hai. Isme aapko bahut saare changes dekhne ko milege. Fir chahe woh look me ho ja fir features me aapko ek dum new jio phone dekhne ko milta hai. Agar aap JioPhone 2 ke baare me puri jankari pana chahte hai, toh yeh post puri read kare.
Dosto Reliance jio ne abhi 5 july ko jio phone ke saath saath Jio Giga Fiber Broadband Service or Jio Giga Tv Set Box DTH Service bhi launch ki hai. Jinki adik jankari ke liye aap upar batayi huyi posts read kar sakte hai.
Dosto is phone me khaas baat yeh hai ke aapko isme KAI OS operating system dekhne ko milta hai. Jo pehle se kafi jyada improve kiya gaya hai. Is post me hum iska price, availability or iske features ke baare me puri detail se janege.
Toh dosto jyada time na lagate huye seedhe jaan lete hai Reliance Jio Phone 2 Ki Jankari Hindi Me, Book Kaise Kare Jio Phone 2 Feature In Hindi
Jio Phone 2 Ki Jankari In Hindi
Dosto jaisa ke maine upar bataya isme aapko KAI Operating System dekhne ko milta hai. Jiski wajah se aapko isme bahut saare features dekhne ko mil jate hai. Agar jiophone 2 ko jio phone 1 se compare kare toh isme kafi jyada changes kiye gaye hai. jo aap neeche dekh sakte hai.
Jio Phone 2 New Look
Aap upar picture me dekh sakte hai. Iski look bilkul change ho chuki hai. Aapko new jiophone 2 me Qwerty keyboard milta hai, aur display bhi pehle ke muqable kafi bada mil raha hai. Jo ke dekhne me kafi acha lag raha hai.
Jio Phone 2 Specification In Hindi
- Qwerty Keypad and 4-way nav key
- LTE Band 3,5,40,2G Band- 900/1800
- Dual SIM(nano-4FF)
- 2.4 Inch QVGA Display
- Battery 2000 mAH
- SD Card upto 128 GB Support
- 2MP (Back)/ VGA (Front) Camera
- Loud Mono Speaker
- EMBMS
- OS KAI OS
- LTE Cat4 DL: 150Mbps/UL:50Mbps)
- 512 MB Ram and 4GB Rom
- VoLTE and VoWifi
- FM BT BLE, WI-FI, GPS, NFC
JIO Phone 2 Ka Price Kya Hai? or Iski Availability
Dosto is mobile ka price jio ne Rs. 2,999 rakha hai, Jo is mobile ke hisaab se kafi acha hai. Agar aap is mobile ko buy karna chahte hai, toh aapko 15 August 2018 tak intejar karna padega. Aap 15 august ko isko online book kar sakte hai.
Monsoon Hungama Exchange Offer
Dosto iske ilawa jio ne ek Monsoon Hungama Exchange Offer bhi nikala hai. Agar aapke paas old Feature phone hai, toh aap is offer ki help se old feature phone de kar sirf Rs. 501 me new Jio Phone 1 le sakte hai. Yeh exchange offer 21st july se shuru ho jayega.
Note. Is Exchange offer me aapko JioPhone 1 hi milega. Agar aap jiophone 2 lena chahte hai, toh aapko Rs. 2,999 pay karne honge.
Jio Phone 2 Features In Hindi
New JioPhone me aapko bahut saare new features or update diye gaye hai. Jo problem aapko purane jio phone me aa rahi thi, woh lagbag sabhi problem is new jio phone me solve kardi gayi hai. Toh chaliye jyada time waste na karte huye jio phone 2 ke fetaures ke baare me jaan lete hai.
Jio Phone me Whatsapp, Facebook aur Youtube App Ka Support
Dosto jab first jio phone launch huya tha, toh usme aapko whatsapp, youtube aur facebook app dekhne ko nahi mila tha. But is new jio phone 2 me ab aap whatsapp or youtube chala sakte hai. Aapko is phone me alag se inke app diye gaye hai.
Jio Phone Improved Voice Command
Jio Voice ko bhi is new phone me kafi improve kiya gaya hai. Ab aap voice command de kar koi bhi youtube video play kar sakte hai. Aapko sirf video name bolna hoga aur fir woh video play ho jayegi.
Improved New Big Display
Ab aapko jio phone 2 me pehle se jyada big aur acha display dekhne ko milta hai. Jiska size 2.4 inch hai. Ab aap big screen me jio tv aur youtube video dekh sakte hai. Isme aapke QVGA Display Type dekhne ko milti hai.
VoWifi Voice Over Wifi
Dosto yeh is phone ka sabse khaas feature hai. Aap is feature se wifi ki help se kisi ko bhi direct phone call kar sakte hai. Iske liye aapke paas sirf internet connection hona jaruri hai. Is feature ki help se aap Wifi se connect ho kar kisi bhi landline or mobile number par call laga sakte hai.
NFC Feature
Isme aapko NFC ki bhi support dekhne ko mil jati hai. jiski help se aap wirelessly payment aur bhi bahut saare kaam jinme nfc required hota hai woh sab kar sakte hai. Yeh feature is price range me milna kafi achi baat hai.
Yeh jio phone 2 ke kuch main feature the. Iske ilawa bhi aapko isme Volte 4G Sim support, Fm Radio, Big 2000 mAH Battery, EMBS, Qwerty Keypad, Dual Sim, Dual Camera aur Upto 128GB ka memory card lagane ki bhi support mil jati hai.’
Jio Phone 2 Online Book Kaise Kare
Jio phone 2 aap online my jio app, jio.com website aur offline 3 tariko se book kar sakte hai. Yaha par main aapko all 3 method se jio phone 2 book karne ke baare me neeche step by step bata raha hu.
- Aapko jis din jiophone 2 ki flash sale hogi us din My jio App or Jio.com website open karni hai, aur usme aapko Jio Phone 2 section me jana hoga.
- Flash sale start hone ke baad aapko JioPhone 2 select karna hai.
- Fir aapko apne area ka pincode enter karke proceed to checkout par click karna hai.
- Fir aapko apna full address enter karna hoga.
- Last me aapko Rs. 2999 ki payment karke order successfully place kar dena hai.
Yeh sab karne ke baad aapka jio phone online book ho jayega. Agar aap puri detail se jaana chahte hai, toh aap Jio Phone Online Book Kaise Kare | My Jio App, Website or Offline Yeh post read kar sakte hai. Isme maine aapko Online aur Offline dono tariko se jio phone book karne ke baare me bataya hai.
Toh dosto aapko Reliance Jio Phone 2 Ki Jankari Hindi Me, Book Kaise Kare post kaisi laggi aap neeche comment karke jarur bataye. Agar aapka is post se related swaal hai, toh aap neeche comment me puch sakte hai.
Wow nice and best jankari
Sir yadi hamare pas purana jio phone hai to usko chang karke 501 rupes dene par mere ko new jio phone 2 milega
exchahge offer me aapko jiophone 2 nahi milege. aapko jiophone 1 hi milega.
Sir yadi hamare pas purana jio phone hai to usko chang karke 501 rupes dene par mere ko new jio phone 2 milega
exchahge offer me aapko jiophone 2 nahi milege. aapko jiophone 1 hi milega.
Wow nice and best jankari