Window 7 Lite Edition Download Kaise Kare | 700MB Only: Hello dosto agar aapke paas low specification wala pc hai. Jisme aap agar window 7 install karte hai, toh woh hang ho jata hai. Toh aap sahi jagah par aaye hai. Yaha par main aapko window 7 lite edition ke baare me bataunga. Jisko aap apne low spec computer me easily install karke pc smoothly run kar sakte hai.
Dosto yeh lite edition un pc ke liye banaya gaya hai. jo bahut old system par run karte hai. aur full version window 7 ko smootly run nahi kar pate. Isi liye aaj main aapke liye yeh article le kar aaya hu jiski help se aap apne purane pc me bhi window 7 ka maza le sakte hai.
Window 7 lite edition look wise bilkul full version window 7 jaisa hi hai. But isme aapko koi bhi extra software nahi milega. Jaise ke internet explorer, media player aur bhi jitne bhi basic software window 7 me install ho kar aate hai, unme se kuch nahi milega. Aapko jo software chahiye usko download karke install karna padega.
- Window 10 Free Me Download Kaise Kare
- Window 10 Install Kaise Kare | Full Guide
Toh chaliye ab jyada time na lagate huye jaan lete hai ke low specification wale pc ke liye window 7 lite download kaise kare.
Computer Me Window 7 Lite Edition Download Kaise Kare
1. Sabse pehle aap Window 7 Lite Edition Link par click karke Download page par chal jaye.
Yeh page kuch aisa dikhega, jaisa neeche pic me dikh raha hai.
2. Jo link red colour me highlight kiye hai, aapko unme se ek ko download karna hai.
Agar aap 64bit window 7 lite edition download karna chahte hai, toh aapko win7professionalX64.iso par click karna hai, Agar aap 32bit window 7 lite download karna chahte hai, toh aapko win7professionalX86.iso par click karna hai.
Note. Low spec pc ke liye 32bit window hi download kare, aur isme aur bhi lite edition diye gaye hai. Jaise ultimate, homebasic aur home premium aap apne hisaab se koi bhi edition select kar sakte hai.
Jaise hi aap kisi bhi ek link par click karoge, toh window 7 lite download hone lag jayegi. Download complete hone ke baad aapko window 7 lite .iso file mil jayegi. Fir Aap iso file ko pendrive me bootable bana kar pc me window install kar sakte hai.
Agar aapko iso file se bootable pendrive banani nahi aati, toh aap bootable pendrive kaise banaye yeh post read kar sakte hai.
Dosto jaisa ke maine upar bataya tha isme aapko koi bhi internet explorer nahi milega. Aapko google chrome ja firefox browser download karna padega. Ab aap soch rahe honge agar isme koi browser hi nahi milega, toh download kaise karenge.
Seedhi si baat hai ke aapko kisi aur computer me kisi browser jaise firefox ka setup download karke apne pc me run karna padega. Waise aap firefox ka offline setup apne mobile se bhi download kar sakte hai.
Toh agar aapke pc me window lag karti hai, toh aap window 7 lite edition ko jarur try kare. Aapko smooth experience milega, aur ha agar aapko Window 7 Lite Edition Download Kaise Kare post achi lagi. Toh isko apne friends ke saath share jarur karna.
Nice article bhai apne bahut achi or Useful Information share ki hai. aap ke is article ko Read kar ke bahut acha laga – Keep It
Nice article bhai apne bahut achi or Useful Information share ki hai. aap ke is article ko Read kar ke bahut acha laga – Keep It