Window 10 Me Window Defender Disable Kaise Kare: Hello dosto agar aap window defender ko permanent disable karna chahte hai, toh aap sahi jagah par aaye hai. Dosto yaha par main aapko local group policy editor ki help se window defender ko disable karne ke baare me bataunga.
Window defender ek free antivirus software hai, jo aapko window 10 me pehle se hi install milta hai. Yeh software aapke computer ko malware and virus se bachata hai. Window 10 me aap defender antivirus ko disable toh kar sakte hai. But yeh permanent disable nahi hota hai. Isliye yaha par main aapke liye iska permanent solution le kar aaya hu.
- Window 10 Free Me Download Kaise | Easy Method
- Computer Folder Icon Change or Create Kaise Kare
Agar aap window defender ko permanent disable karna chahte hai, toh aap aisa sirf local group policy editor se hi kar sakte hai. Jiske baare me hum neeche detail me janege. But us se pehle aap yeh jaan le agar aap isko disable karte hai, toh aaapke computer ja laptop me virus and malware aane ke chances increase ho sakte hai.
Agar aap logo ne window 7 or window 8 use kiya hoga, toh aapko sahid pata hoga, usme defender disable karna bahut easy tha. But window 10 me isko disable karna thoda complicated hai. But agar aap neeche bataye huye steps follow karenge. Toh aap sirf 2 minutes me isko disable kar sakte hai.
Toh chaliye jyada time na lagate huye jaan lete hai window defender permannet disable kaise kare
Window 10 Me Window Defender Disable Kaise Kare using Local Group Policy (Permanent)
Yeh method sirf window 10 users ke liye hai. Agar aap window 7 or 8 use karte hai, toh usme aapko kisi aur method se window defender disable karna padega.
1. First aapko Window key + R key press karke Run command open karni hogi.
2. Ab aapko run command me gpedit.msc type karke OK press karna hoga.
3. Ab aapko local group policy editor me neeche batayi huyi setting me jana hoga.
Computer Configuration > Administrative Templates > Windows Components > Windows Defender
4. Upar batayi huyi Setting me jane ke baad Turn off Windows Defender par double click kare.
5. Enabled Select karke Apply and fir OK par click karde.
Ek baar jab aap yeh steps follow kar lenge, toh aapko ek baar apna pc ja laptop restart karna padega. Restart karne ke baad aapke computer se window defender permannet disable ho jayega.
Agar aap window defender ko re-enable karna chahte hai , toh aapko 5th step me enabled ki jagah Not Configured select karke Apply and fir ok par click karna hai.
- Android Mobile Wireless Mouse or Keyboard Me Change Kaise Kare
- Computer Screen Record Kaise Kare Free Me | Best Screen Software
Dosto ab aap bhi is method ka use karke window 10 me window defender antivirus disable karke dekhe. Agar aapko is poore process me koi problem aati hai, toh aap neeche comment me bata sakte hai. Main aapki puri help karuga problem solve karne me.
Toh dosto aapko Window 10 Me Window Defender Disable Kaise Kare post kaisi laggi aap neeche comment karke jarur bataye. Is trah ki post ke notification pane ke liye aap Blog For India ko subscribe karna mat bhule.