1000 Page Views Par Main Google Adsense Se Kitne Paise Kamata Hu ? Jane Pura Sach

1000 Page Views Par Main Google Adsense Se Kitne Paise Kamata Hu ? Jane Pura Sach: Hello Dosto Aaj main aapke saath apni earning report share karna ja raha hu, aur iske saath saath me 1000 views par google adsense se kitne paise milte hai, woh bhi is article me bataunga, toh aap is post ko pura read kare.

Dosto Jaise ke aap log jaante hai, ke mera blog wordpress par bana hai. Lekin maine apni Blogging ki shuraat free plateform Blogger se ki thi. us waqt mujhe blogging ke baare me kuch nahi pata tha aur main sirf 100 ja 150 word ki short post karta tha, aur khush hota tha ke meri bhi ek website hai. aur most important baat mujhe blogging me lane wale 2 insaan hai. Pehla HindiMeHelp se Rohit Mewada aur second SupportMeIndia Se Jume Deen Khan agar yeh dono na hote toh sahid main aaj yaha par yeh post nahi likh raha hota. Main in dono ko apne dil se thanx kehna chahta hu.

1000 Page views Se Kitni Income Hoti Hai

Toh ab aate hai main baat par maine blog banane ke ek month ke baad adsense ke liye apply kiya, aur 15 days ke under mujhe adsense ki taraf se final approval mil gaya. Shuru shuru me mujhe adsense se earning na ke barabar hi hoti thi, aur fir dheeere dheere earning increase hone lagi. Mujhe adsense se pehle 100 doller complete karne me poore 7 month lage the. jo ke mere liye bahut hi long time tha.

December 2016 tak mujhe Blog par daily 1500+ traffic milne lag gaya tha, But meri cpc hamesha 0.4 rehti thi is karn meri income bhi bahut kam thi. jab mere paas adsense ki pehli income aayi jo ke 117$ thi, toh maine sabse pehle apni website ko wordpress par transfer kiye. Iske liye maine Hostgator ka baby plan choose kiya, aur website ko wordpress par move kar liya. But is se mujhe ek bahut bada nuksaan bhi huya. Mera sara traffic loss ho gaya, aur earning bhi 0 ho gayi.

WordPress par blog move karne ke baad main blog ko daily update karne laga, jis karn mujhe within 2 month me apna loss huya saara traffic dheere dheere karke wapis mil gaya. Agar main aaj ki baat karu toh Blogforindia Par Daily 1000+ view milte hai, jo ke bahut kam hai. Iska ek karn mera abhi regular blog ko update na karna bhi hai. But abhi main blogging ko lekar thoda serious ho chuka hu. Isliye main abhi apni taraf se puri kosis karuga, ke aapko daily new article de saku.

Dosto jaise ke aapne upar dekha ke mujhe daily 1000 pageviews milte hai, aur internet par bahut saare log aise swaal puchte hai, ke blog par 1000 pageviews par adsense hame kitne paise deta hai ?, 1000 Page Views se adsense se kitni income hoti hai. Toh aaj main in sab swalo ka jwaab dena ja raha hu.

1000 Page Views Par Google Adsense Se Kitni Earning Hoti Hai ?

Yaha par main aapko koi calculation karke nahi bataunga. Main simple apni earning ke baare me bataunga. Jo mujhe daily thousand pageviews se hoti hai.

Daily Blog For India Page Views

Sabse pehle main aapko apne analytics account ka screenshot dikha deta hu. Jis se aap blogforindia par aane wale daily traffic ko dekh sakte hai.

Daily Pageview

Upar jo aap screenshot dekh rahe hai. woh maine 17 May, 2017 ko liya tha matlab yeh kal ki traffic report hai. Kal mujhe lagabag 1048 pageviews mile the.

Daily Blog For India Adsense Earning

Ab baat kar lete hai, ke in 1000 pageviews se kal maine kitne paise earn kiye, Iske liye aap neeche screenshot dekh sakte hai.

may 17 income

Dosto jaise ke aap google adsense ke screenshot me dekh sakte hai, ke maine kal 581 pageviews se 2.79$ earn kiye. aur ads par total 42 click huye. aur cpc 0.7 rahi.

Aap me se sahid bahut saare logo ke mann me hoga. ke analytics me toh 1000 pageviews bata raha hai. par adsense me sirf 581 pageviews show ho rahe hai. Iska karn yeh hai, ke aapne kabhi dekha hoga. jaise bahut saare browser hai, example ke liye uc mini mobile browser ko hi lelo. jisme google adsense ads show nahi hote. Is liye jaha par wohi pageviews show hote hai. yaha par adsense ads display par show ho. Toh isi karn isme itne kam pageviews show ho rahe hai.

Dosto aisa nahi hai ke aapke har 1000 views par 2 doller hi mile yeh aapki cpc aur clicks par depend karta hai. Example mujhe 14 may ko bhi lagbag itne hi pageviews mile the. magar us din meri cpc aur clicks is din se jyada thi aur mujhe us din 4$ ki earning huyi aap neeche screenshot me dekh sakte hai.

may 14 earning

Aap me se bahut saare logo ko yeh earning Report Fake bhi lag sakti hai. Agar aapke mann me bhi koi doubt ho toh aap mujhe bina koi pareshani facebook par message kar sakte hai, aur apna doubt clear kar sakte hai.

Agar main apni monthly earning ke baare me baat karu toh mujhe 6000 se 7000 mil jate hai. jisme se internet aur hosting ka charges nikal kar mujhe 5000 every month bach jate hai, jo ke abhi mere liye kafi hai.

Main Blogforindia ke sabhi readers ko dil se thanx kehna chahta hu, aapki wajah se hi BlogForIndia blog yaha tak aa paya hai, aur hum sab mil kar is blog ko aur aage tak le jayenge.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (178)

  1. bhai report to apki sahi hai kam se kam unki tarh to nahi hai jo kahte hain main lakho kamata haun or ab report hi nahi daalte kyonki sachhai samne agyi pr India ke hisaab s apko CPC sahi mil rahi hai yaar …hindi langauge blog pr to 0.02 se lekar or 0.05 rahti hai or everage 0.03 hi rahti hai …

    Reply
    • kailash thank u aapke comment ke liye aur cpc har din kam jyada hoti rehti hai but india ki cpc dheere dheere improve ho rahi hai, aur meri cpc ab kabhi bhi 0.06 ke neeche nahi jati. is se hamesha upar hi rehti hai.

      Reply
    • visitor jitne marji ho us se koi fark nahi padta. aapke blog me kam se kam 15 badiya qwality ki post hona jaruri hai.

      Reply
  2. Bhai plz meri help karo mai bhi apke terh blogging karta hu so mere site per jakar dekhe ki kya bta RHA. Ye bta RHA hai ki adscenes awaiting approval mujhe 18 days ho chuke hai . so plz btaye approve kab hoga sayad aap ki madad she mai bhi age pahuch jau

    Reply
    • aap pehle koi acha sa custom domain le us par adsense jaldi approve hota hai, aur aapke blog ka design bhi bahut khraab hai. Pehle aap ek acha sa domain le fir aap apne blog ki template change kare.

      Reply
  3. Today, my mom’s scold me a lot as I was spending my whole time on my phone and acting like I was studying for my mid exams but finally when she sat beside me she found that I was not reading the subject, I was reading your post and that made her angry 😂😂😂 I think I need to run now, because as you know what’s the weapon of Indian mothers…, A flying chappal 😂😂🤣🤣, but this article is really awesome! Thanks anyways!

    Reply
  4. Bhai aik post aisi dalo jisme blog ki starting kaise karte hai,adsence account kab or kaise lena hai,domain name lena jaruri hai iske fayde, plzzz

    Reply
  5. सर मैने अपने ब्लॉग informationunbox. com को 5 बार adsense के लिए अप्लाई किया, हर बार रिजेक्ट हुआ। अब मुझे समझ नहीं आ रहा कि मै क्या करू – please कोई रास्ता बताए, जबकि मेरे हिसाब से ब्लॉग मे सब सहीं है

    Reply
  6. Blog for india
    Aapka blog padke ascha laga. Abto 2020 ho gaya ab aapka income kitna ho gaya sirjee jara botayenge. Mai bhi naya naya blog likh raha hun itna ascha to nahi hota phirbhi kasis kor raha hun
    Mai aapka blog phir visit korynga answer dijiega

    Reply
  7. You are doing a great job I inspired when I was reading your post. I am regular reader of this website.
    Thank you for sharing this useful information….

    Reply
  8. Hardeep ji mere ek post per 150-200 views ho jate hai kya
    ye better hai mere post ke liye aur kya adsence approve ho sakta hai……

    Reply
    • Agar aapke blog par minimum content jitna adsense appove karwane ko chahiye huya aur achi qwality me huya toh jarur approve ho jayega.

      Reply
    • main aapki isme koi help nahi kar sakta aap khud achi achi post likhe dheere dheere aapka traffic increase hone lag jayega.

      Reply
  9. Mere blog par adsense account active hai or publisher I’d bhi generate hai lekin approval nahi mila….. Bas yahi likha aata hai “we are working on it” 90 din ho gaye hai. Bhaut pareshaan hu kya karu. App ki sahi advise dijiye, mai kya karu?

    Reply
  10. Agar koi vi add par click na kare aur view 1k ho to tab earning hoga ki nehi??mera 2din pahle adsense approve huwa lekin view par earning nehi mil raha..

    Reply
  11. नमस्ते,

    आपका लेख बहुत जानकारीपूर्ण है और इससे मुझे अधिक जानकारी प्राप्त करने में मदद मिली। हम आपकी वेबसाइट से अधिक गुणवत्ता वाली सामग्री की भी प्रतीक्षा कर रहे हैं।

    शुक्रिया

    Reply
  12. Hardeep ji mere ek post per 150-200 views ho jate hai kya
    ye better hai mere post ke liye aur kya adsence approve ho sakta hai……

    Reply
    • Agar aapke blog par minimum content jitna adsense appove karwane ko chahiye huya aur achi qwality me huya toh jarur approve ho jayega.

      Reply
  13. bhai report to apki sahi hai kam se kam unki tarh to nahi hai jo kahte hain main lakho kamata haun or ab report hi nahi daalte kyonki sachhai samne agyi pr India ke hisaab s apko CPC sahi mil rahi hai yaar …hindi langauge blog pr to 0.02 se lekar or 0.05 rahti hai or everage 0.03 hi rahti hai …

    Reply
    • kailash thank u aapke comment ke liye aur cpc har din kam jyada hoti rehti hai but india ki cpc dheere dheere improve ho rahi hai, aur meri cpc ab kabhi bhi 0.06 ke neeche nahi jati. is se hamesha upar hi rehti hai.

      Reply
  14. Bhai Mera blog blogger par hai mene abhi domain buy nhi kra hai domain buy karne ke baad mere blog ka traffic Kam to nhi ho jayege

    Reply
  15. नमस्ते सर बहुत ही अच्छा लिखते है आप और ऐसी नई जानकारी देने के लिए आपका धन्यवाद

    Reply
    • visitor jitne marji ho us se koi fark nahi padta. aapke blog me kam se kam 15 badiya qwality ki post hona jaruri hai.

      Reply
  16. Bro kya adsence pageview par paise deta hai… Ya usake add ke click karane par…

    N abhi tak maine adsence ke liye aply nahi kiya hai…. Mere 14 post hai… Kya m aply Kar sakata hu

    Reply
  17. Bhai Mera blog blogger par hai mene abhi domain buy nhi kra hai domain buy karne ke baad mere blog ka traffic Kam to nhi ho jayege

    Reply
  18. Blog for india
    Aapka blog padke ascha laga. Abto 2020 ho gaya ab aapka income kitna ho gaya sirjee jara botayenge. Mai bhi naya naya blog likh raha hun itna ascha to nahi hota phirbhi kasis kor raha hun
    Mai aapka blog phir visit korynga answer dijiega

    Reply
  19. You are doing a great job I inspired when I was reading your post. I am regular reader of this website.
    Thank you for sharing this useful information….

    Reply
  20. Bhai plz meri help karo mai bhi apke terh blogging karta hu so mere site per jakar dekhe ki kya bta RHA. Ye bta RHA hai ki adscenes awaiting approval mujhe 18 days ho chuke hai . so plz btaye approve kab hoga sayad aap ki madad she mai bhi age pahuch jau

    Reply
    • aap pehle koi acha sa custom domain le us par adsense jaldi approve hota hai, aur aapke blog ka design bhi bahut khraab hai. Pehle aap ek acha sa domain le fir aap apne blog ki template change kare.

      Reply
    • itne saare ads lagane se aapka ctr to increase ho jayega but cpc bahut low milega aapko is liye aap ek page par jyada se jyada sirf 4 ads place kare.

      Reply
  21. Agar koi vi add par click na kare aur view 1k ho to tab earning hoga ki nehi??mera 2din pahle adsense approve huwa lekin view par earning nehi mil raha..

    Reply
  22. सर मुझे पहले महीने में 900 व्यूज आए लेकिन दूसरे महीने में सिर्फ 350, ऐसा क्यों ?

    Reply
  23. Today, my mom’s scold me a lot as I was spending my whole time on my phone and acting like I was studying for my mid exams but finally when she sat beside me she found that I was not reading the subject, I was reading your post and that made her angry 😂😂😂 I think I need to run now, because as you know what’s the weapon of Indian mothers…, A flying chappal 😂😂🤣🤣, but this article is really awesome! Thanks anyways!

    Reply
  24. Bhai aik post aisi dalo jisme blog ki starting kaise karte hai,adsence account kab or kaise lena hai,domain name lena jaruri hai iske fayde, plzzz

    Reply
  25. Thanks bhai aapne apni earning humare sath share ki, but mere blog par google adsense me 1000 pageviews dikhane par bhi almost 20 click par day hote hai aur cpc 0.03

    Aur aapke blog par 500 page views me hi 40 clicks mil rhe hai, aisa kyun

    Reply
    • aap apni ads placement sahi karo. agar aap sahi jagah ads place karoge toh aapko bhi jyada click milenge. mujhe sirf 1000 pageview par hi 100+ click mil jate hai. isliye apni ads placement par thoda dhiyan do.

      Reply
  26. Bahut achchhe sir…best of luck for u for your bright future …..

    Sir, meri website par newsletter theek se kaam nhi karta …news post ki notification users ko unki email par nhi bhejta hai….
    Feedburn bhi try kiya kintu isme bhi same problem show hoti hai…
    Pls guide me …

    Reply
    • Sir mene aj hi blog creat kiya or mere blog pr 6 gnte m hi 100 view aa chuke kya me man skta hu ki 10 din me y view 1000 par kr jayenge….

      Reply
    • Aap feedburner setup karne me koi mistake kar rahe honge. isliye woh theek se work nahi kar raha hoga. Aap apne feedburner account me pehle se ads feed ko delete karke dowara se new feed add kare. Agar aapko feed add karni nahi aati toh app iske baare me google par search kar sakte hai.

      Reply
  27. Mere blog par adsense account active hai or publisher I’d bhi generate hai lekin approval nahi mila….. Bas yahi likha aata hai “we are working on it” 90 din ho gaye hai. Bhaut pareshaan hu kya karu. App ki sahi advise dijiye, mai kya karu?

    Reply
  28. Sir me bhi blog chlata hu mere blog par 16 post sabhi ko achhe khase views aa rahe hai me kitne mahine bad adsense ki liye approved karu or 1 page par kitni add lagani chahiye pllz bataiye . Sir zaldi rep kare

    Reply
    • minimum 1000 pageviews per day par aap adsense ke liye apply kar sakte hai, aap ek page par 3 link ads aur 2 banner ads laga sakte hai. jo post 1000+ words ki ho us par. lekin agar aapki post 1000 words se kam hai, toh aap us par 3 ads laga sakte hai.

      Reply
    • itne saare ads lagane se aapka ctr to increase ho jayega but cpc bahut low milega aapko is liye aap ek page par jyada se jyada sirf 4 ads place kare.

      Reply
  29. सर मैने अपने ब्लॉग informationunbox. com को 5 बार adsense के लिए अप्लाई किया, हर बार रिजेक्ट हुआ। अब मुझे समझ नहीं आ रहा कि मै क्या करू – please कोई रास्ता बताए, जबकि मेरे हिसाब से ब्लॉग मे सब सहीं है

    Reply
  30. Sir me bhi blog chlata hu mere blog par 16 post sabhi ko achhe khase views aa rahe hai me kitne mahine bad adsense ki liye approved karu or 1 page par kitni add lagani chahiye pllz bataiye . Sir zaldi rep kare

    Reply
    • minimum 1000 pageviews per day par aap adsense ke liye apply kar sakte hai, aap ek page par 3 link ads aur 2 banner ads laga sakte hai. jo post 1000+ words ki ho us par. lekin agar aapki post 1000 words se kam hai, toh aap us par 3 ads laga sakte hai.

      Reply
  31. Bahut achchhe sir…best of luck for u for your bright future …..

    Sir, meri website par newsletter theek se kaam nhi karta …news post ki notification users ko unki email par nhi bhejta hai….
    Feedburn bhi try kiya kintu isme bhi same problem show hoti hai…
    Pls guide me …

    Reply
    • Sir mene aj hi blog creat kiya or mere blog pr 6 gnte m hi 100 view aa chuke kya me man skta hu ki 10 din me y view 1000 par kr jayenge….

      Reply
    • Aap feedburner setup karne me koi mistake kar rahe honge. isliye woh theek se work nahi kar raha hoga. Aap apne feedburner account me pehle se ads feed ko delete karke dowara se new feed add kare. Agar aapko feed add karni nahi aati toh app iske baare me google par search kar sakte hai.

      Reply
  32. सर मुझे पहले महीने में 900 व्यूज आए लेकिन दूसरे महीने में सिर्फ 350, ऐसा क्यों ?

    Reply
    • Google search me ranking neeche upar hoti rehti hai. Aapko post ke update rakhna chahiye aur daily new post publish karna chahiye.

      Reply
  33. Bahut achcha article hai bro apka mujhe aapse ek help chahiye hai mene abhi mera ek naya blog start kiya hai
    Knowledgeadda247.com
    Name se isme Google Adsense ka approvel milne ke bad bhi ad show nhi ho rahe hain iske liye mujhe kya krna chahiye

    Reply
  34. Thanks bhai aapne apni earning humare sath share ki, but mere blog par google adsense me 1000 pageviews dikhane par bhi almost 20 click par day hote hai aur cpc 0.03

    Aur aapke blog par 500 page views me hi 40 clicks mil rhe hai, aisa kyun

    Reply
    • aap apni ads placement sahi karo. agar aap sahi jagah ads place karoge toh aapko bhi jyada click milenge. mujhe sirf 1000 pageview par hi 100+ click mil jate hai. isliye apni ads placement par thoda dhiyan do.

      Reply
  35. Bahut achcha article hai bro apka mujhe aapse ek help chahiye hai mene abhi mera ek naya blog start kiya hai
    Knowledgeadda247.com
    Name se isme Google Adsense ka approvel milne ke bad bhi ad show nhi ho rahe hain iske liye mujhe kya krna chahiye

    Reply
  36. नमस्ते,

    आपका लेख बहुत जानकारीपूर्ण है और इससे मुझे अधिक जानकारी प्राप्त करने में मदद मिली। हम आपकी वेबसाइट से अधिक गुणवत्ता वाली सामग्री की भी प्रतीक्षा कर रहे हैं।

    शुक्रिया

    Reply
    • main aapki isme koi help nahi kar sakta aap khud achi achi post likhe dheere dheere aapka traffic increase hone lag jayega.

      Reply
  37. नमस्ते सर बहुत ही अच्छा लिखते है आप और ऐसी नई जानकारी देने के लिए आपका धन्यवाद

    Reply

Leave a Comment