Aaj Hum EA Cricket 07 Computer game Me Player Name Change kaise kare janege. ea cricket game me player name ke spelling thik nahi hote aur yeh bahut purani game hai is liye isme old players ke name hote hai. Agar aapne cricket07 pc game me player name change ja fir new player create kiya hai toh aapne dekha hoga jab hum game quit karke dowara game open karte hai, toh jin players ke name aapne edit kiye the wo pehle jaise ho jate hai.
Is post me aapki yeh problem solve ho jayegi. Jis se aap ek baar player name change karke usko permanent save kar sakte hai.bas aap is post ko dhiyaan se read kare. toh jyada samay na lagate huye seedhe post ki aur badte hai.
EA Cricket Pc Game Me Player Name Change Kaise Kare
1. Sabse pehle game open karke my cricket par click karke squad management par click kare.
2. Fir Edit Team par click karke apni team select kare.
3. Ab jis player ka name change karna hai us par click karke rename par click kare.
4. Player name edit karke done par click kare
* Aisi hi sabhi players ke name change kare
* ab aapko in players ko save karna hai ta ki aapke player name permanent save ho jaye. save karne ke liye neeche likhe step follow kare.
* Pc Games Free Me Download Kaise Kare.
* Computer Me Android Games Run Kaise Kare.
5. Player name change karne ke baad aapko 2 baar back jana hai.
6. Fir aapko load and save ki option dikhayi degi us par click kare.
7. Fir Save par click kare.
8. Fir aapko upar profile likha dikhayi dega uske dono taraf 2 arrow honge right arrow par click kare.
* Click karne ke baad profile ki jagah roster aa jayega.
9. Ab aapko neeche select par click karke done aur fir continue par click karna hai
* Subway Surfer Game Pc Me Run Kaise Kare
* Animation Video Kaise Banaye Free Me
Congratulations ab aapke player name permanent save ho chuke hai. ab aap new players name ke saath cricket game ka maza le sakte hai
Dosto aapko EA Cricket 07 Player Name Change/Edit Kaise Kare (Permanent) Post kaisi lagi comment karke jarur bataye. aur agar player name change karne me koi problem aaye toh comment me bata sakte hai. main aapki puri maddad karunga problem solve karne me.
Nhi ho rha h criket 2015 me
Nhi ho rha h criket 2015 me