Gta Sanandreas And Vice City Me Cars, Building, Players Mods (Install) Add Kaise Kare

Dosto Agar aapke paas pc hai toh aapne gta vice city and gtasanandreas game toh play ki hogi, gta ki jitni bhi games hai sab bahut popular hai pure world me magar baar baar ek hi game khelne se hum bore ho jate hai is liye is post me main apko batunga gta ki game me new cars, player, building, roads, bikesmods add change kaise kare. toh chaliye jante hai gta game me mods kaise install kare.

Gta game ko edit karna bahut hi asaan hai aap aisa karke puri gta game ko apne hisaab se badal sakte hai.

Gta game Edit Karne Ke Liye Neeche Likhe Tool Chahiye

  • Img ToolGta Mod File
  • Computer
  • Gta Sanandreas Or Vice City Game
gta game mods install kaise kare

Gta Games Me Custom Cars, Player, Building, Bike Kaise Add And Change Kare – Gta Mods

1. Sabse pehle aapko neeche batayi huyi sites par visit karna hai.

* Aap Internet Par search karoge toh aapko aur bhi bahut saari sites mil jayegi.

2. Koi ek site ko open kare fir aapke samne games ke name aa jayege jaise gta sanandreas and vice city jis game me aap mods install karna chahte hai usko select kare.

3. Select karne ke baad apko us game se related sabhi mods ki list milegi jaise cars, bike, building, player skin,Weapon, roads, and other aapko game me jis cheez ko bhi change karna ho us category ko select kare.

4. Jaise aapne koi car change karni hai toh car ki category select kare aur uske baad apke samne bahut saari cars aayegi aapko jo car achi lage us par click kare.

5. Next page par download ki option aayegi us par click kare Fir ek zip file download hogi usko winrar software ki maddad se unzip extract karle.

6. Fir aapko ek folder milega usme 2 files hogi .dff  .txt

Example –

admiral.dff
admiral.txt

7. Jaise aap ne upar dekha dff and txt file ke aage ek name likha hua hai admiral jab aap dff and txt file download karoge usme bhi ek name hoga.

8. Fir aapko img tool open karna hoga.

9. Img tool me file par click karke open par click kare.

10. Fir aap Gta game ke folder ko open kare waha par ek  model name ka folder hoga usme se Gta3.img file ko select kare fir Gta3.img file aapke img tool me load ho jayegi.

11. Fir aap F2 press kare fir ek search box khulega.

12. Jo 2 files aapne download ki hai uske aage ek name hoga aapko uska name search box me enter karna hai jaise maine jo file download ki hai uska name admiral hai toh main admiral type karunga aapki file ko jo name hai aap usko box me enter kare aur uske baad find par click karke us name ko search kare.

13. Jo name aap search karoge wo 2 baar hoga ek .dff format me aur ek .txt format me.

IMG TOOL Extract File

14. Sabse pehle hum dff file ko search karte hai. uske liye aapko file ke name ke last me .dff lagana hai  Example – admiral.dff aur uske baad find par click karna hai.

15. Fir aapke samne file show hone lag jayegi fir us par right click karke neeche bataye dono step follow kare.

  1. extract par click karke file ka backup bana le.
  2. extract karne ke baad us file ko delete karde.

* Fir F2 press kare aur box me name ke last me .txt likh kar search kare.

Example – admiral.txt

* Fir us txt file par right click karke neeche bataye dono step follow kare.

IMG TOOL Extract File
  1. extract par click karke file ka backup bana le.
  2. extract karne ke baad us file ko delete karde.

16. Dono files ko delete karne ke baad apne jo file download ki thi ab un file ko game me add karna hai.

17. Add karne ke liye img tool me Command > add Par click kare.

Add Dff And Txt File

18. Fir Dono .dff And .txt Files ko ek ek karke add kare.

Jab aapne dono files ko add kar diya toh uske baad img tool ko close karde aur game ko open karke dekhe jo bhi car, building, bike, other kuch bhi  aapne add kiya hoga wo aapki game me aa jayega aap aisa karke gta vice city and gta sanandreas game ko puri trah change customize kar sakte hai.

  • Pendrive Me Window Ko Bootable Kaise Banaye
  • Window 7,8,10 Ko Disc Me Bootable Kaise Banaye

Note.  Agar game me koi error aaye toh aapne jo files add ki thi unko search karke delete karna hai aur jin original files ko aapne delete karne se pehle extract kiya tha unko wapis se command > add me ja kar dowara add kare fir aapki game pehle jaisi ho jayegi.

Aap is process ko follow karke gta game me cars, building, bikes, boats, weapons, player aur bhi bahut kuch change aur add kar sakte hai agar aapko koi problem aaye toh aap comment karke puch sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (26)

  1. sir ji wo to english me likha hai na mujhe hindi language me chahiye please bataye maine iron man mod install kiya par sab kuch kar diya par gta sa open karte hai to wo pahale wala admi rahata hai iron man kaise banaye please bataye aur super man ke bare me bhi bataye ki kaise install hota hai please

    Reply
  2. Simple aap player skin download kare Jo aap game me lagana chahate hai aur usme player.txd and player.dff file hogi aapko in file ko game me original skin se replace karna hai uske liye aap IMG tool me gta3.IMG file load kare aur usme player.txd and player.dff file search karke usko replace kare apni new skin se

    Reply
  3. Mera kahene ka matlab game ko play karne par pahele se rahata hai wo skin aur dalta hu wo skin mix ho jata hai pura sharir chitkabre ho jata hai.
    Aapne bataya hai waise karta hu player.txd aur player.dff ko delete karta hu aur download kiya rahata hu usko dalta hu.
    Lekin mere paas pahele game tha usko play karke option me jake skin option me bahut saare skin tha (jaise- spiderman, armi, superman etc) maine do skin mod download ki hai uska file name same hai player.txd &.dff (jaise- 1. iron man 2. Superman)
    ab agar ironman ko daalunga uske baad superman ko daalunga to ironman ka ''player.txd & dff" delete karna padega. Iska koi solution batao ki dono mod daal saku aur aise hi bike aur scooty me bhi ho raha hai.

    Reply
  4. apka bahut bahut tankyou maine bahut khoja magar nahi apne jo post ki bahut badhia hai please mujhe bataye ki iron man superman super heroes gta san andreas me install kaise kare mera whatsapp num 9060812478 hai please add karle please super heroes ke bare me bataye aur ispar post likhe

    Reply
  5. Hardeep ji ye kuch problem hai game me do skin mod download kiya hai par dono same hai ek ko daalne par pahele se hai aur dalta hu wo skin mix ho jata hai iska koi solution bataien ( mere paas pahele vice city game tha usme bahut saare skin tha )

    Reply
  6. apka bahut bahut tankyou maine bahut khoja magar nahi apne jo post ki bahut badhia hai please mujhe bataye ki iron man superman super heroes gta san andreas me install kaise kare mera whatsapp num 9060812478 hai please add karle please super heroes ke bare me bataye aur ispar post likhe

    Reply
  7. Mera kahene ka matlab game ko play karne par pahele se rahata hai wo skin aur dalta hu wo skin mix ho jata hai pura sharir chitkabre ho jata hai.
    Aapne bataya hai waise karta hu player.txd aur player.dff ko delete karta hu aur download kiya rahata hu usko dalta hu.
    Lekin mere paas pahele game tha usko play karke option me jake skin option me bahut saare skin tha (jaise- spiderman, armi, superman etc) maine do skin mod download ki hai uska file name same hai player.txd &.dff (jaise- 1. iron man 2. Superman)
    ab agar ironman ko daalunga uske baad superman ko daalunga to ironman ka ''player.txd & dff" delete karna padega. Iska koi solution batao ki dono mod daal saku aur aise hi bike aur scooty me bhi ho raha hai.

    Reply
  8. Hardeep ji ye kuch problem hai game me do skin mod download kiya hai par dono same hai ek ko daalne par pahele se hai aur dalta hu wo skin mix ho jata hai iska koi solution bataien ( mere paas pahele vice city game tha usme bahut saare skin tha )

    Reply
  9. Simple aap player skin download kare Jo aap game me lagana chahate hai aur usme player.txd and player.dff file hogi aapko in file ko game me original skin se replace karna hai uske liye aap IMG tool me gta3.IMG file load kare aur usme player.txd and player.dff file search karke usko replace kare apni new skin se

    Reply
  10. sir ji wo to english me likha hai na mujhe hindi language me chahiye please bataye maine iron man mod install kiya par sab kuch kar diya par gta sa open karte hai to wo pahale wala admi rahata hai iron man kaise banaye please bataye aur super man ke bare me bhi bataye ki kaise install hota hai please

    Reply

Leave a Comment