GTA Sanandreas Me Superman Mod Install Kaise Kare In Hindi: Hello dosto aaj hum is article me gta sa me super man mod intsall karne ke baare me janege. Is mod se gta sanandreas ke player me woh sabhi power aa jayegi. Jo superman me hoti hai. jaise Aapka player fly karne lag jayega, car se bhi fast running karne lag jayega aur us par bullets ka bhi koi asar nahi hoga.
Aap is mod ki help se gta sanandreas ka har mission asani se complete kar sakte hai. Agar aap bhi aisi super power ke saath game play karna chahte hai, toh aap yeh post carefully read kare, aur isme bataye huye steps ko follow kare.
GTA Sanandreas Me Superman Mod Install Kaise Kare Full Guide In Hindi
Superman Mod intsall karne se pehle aapko mod ko download karna padega. mod download karne ke liye aap Download Superman Mod par click kare.
1. Mod download karne ke baad aapko rar format me milega. Aapko winrar software ki help se rar file se mod folder ko bahar extract matlab bahar nikalna padega.
2. RAR File extract karne ke baad aapko ek folder milega. Usko open kare.
3. Aapko us folder me kuch aur folder milenge. Kuch folder me txt aur dff file milegi. Aapko sabse pehle GTA SA ki Original .dff aur .txt file se mods ki txt aur dff file se replace karna hoga. Yeh kuch aisi dikhegi.
4. In upar batayi huyi files ke ilawa bhi folder me aapko aur dff and txt format wali file milengi. Aapko saare folder open karke dekhne hai. jis folder me is type ki files hogi. Un sab ko aapko gta sa ki original file se replace karna hai.
- GTA Games Me New Player, Cars And Building Mods Add Kaise Kare
- GTA 5 Game Android Mobile Me Play Kaise Kare Liquidsky Se
Note. Agar aapko dff and txt file replace karni nahi aati toh aap neeche bataye huye steps follow kare.
5. GTA DFF Aur TXT File replace karne ke liye aapko IMG Tool Download karna hoga.
6. Download karne ke baad usko open kare. open karne par ek error aayega ok par click kare.
7. Iske baad tool open ho jayega. Aapko Tool me File par click karke open par click karna hai.
8. Ab aapke samne ek box open hoga. Aapko us box me GTA Sanandreas game ke folder me jana hoga.
9. GTA SA game ke folder ke andar aapko ek Model name ka folder hoga. Usko open kare.
10. Ab aapko Player name ki ek file milegi. usko select karke open par click kare.
Ab aapke samne game ki sabhi original dff aur txt file show hone lagegi. Aapko inme se kuch file ko mod ki file se replace karna hoga.
11. File replace karne ke liye aapko sabse pehle mod wale folder me se first folder me jo file hai. Usko name dekhe.
Example – First file ka name hai afro.dff ab aapko IMG Tool me ja kar F2 Press karna hoga. Uske baad aapke samne ek search box open hoga.
12. Search box me aapko file ka name enter karna hai. Jaise example afro type karke find next par click kare.
13. Fir aapke samne woh file show hone lag jayegi.
Note. File replace karne se pehle aap us file ka format check karle kyuke is game me ek hi name ki 2 files hoti hai. Ek dff format me aur ek txt format me aapko dff format wali file ko dff wali file se replace karna hai, aur txt format wali file ko txt wali file se replace karna hai. File Format check karne ke liye file ke name ke last me dekhe. Aapko format pata chal jayega.
Example hum afro.dff file ko mod file se replace karenge. Toh uske liye humko upar jaise maine bataya sabse pehle us file ko search karna padega. search karne ke baad aapko neeche likhe steps follow karne honge.
Aap upar picture me dekh sakte hai. maine file ko search karke us par Right Click karke replace par click kiya hai.
14. Jaise hi aap replace par click karoge toh aapke samne ek box open hoga. Fir mod wale folder me jaye usme aapko isi name ki ek file milegi. Usko select karke open par click karde.
Aise hi aapko mod me di gayi sabhi txt aur dff file ko ek ek karke game ki original files se replace karna hoga.
Note. Aapko mod folder ke 1, 2, 6 aur 8 folder Clark Kent BETA, Classic Superman BETA, Shared Parts aur Superman Returns BETA ki file ko original file se copy karna hai.
15. 3 Folders ki file succesfully replace hone ke baad aapko IMG tool me upar ki taraf file par click karke open par click karna hai.
16. Fir usi game folder me aapko GTA3 Name ki ek file hogi usko select karke open par click kare.
17. Ab aapke samne file show hone lag jayegi. Aapko mod ke 7 folder SUPER TAGS ki sabhi file ko ek ek karke saerch karke game ki original file se replace karna hai. Jaise humne upar kiya tha.
- Budget 7 Genration GTA 5 Ready Gaming Pc Build Kaise Kare
- Pc Ke Liye Proccesor Select Kaise Kare ? i3, i5 Aur i7
Note. Mod Folder me aapko Ek Loading Screens Name ka folder milega usme bhi txt file hogi. But usko aapne IMG tool se replace nahi karna hai. Usko game folder me ja kar model folder par click kare, aur uske baad txd folder me us loadscs.txt file ko paste karde.
Sabhi files replace karne ke baad aapka aadhe se jyada kaam complete ho jayega. Ab aap IMG Tool ko close karde.
18. Ab aapko mods wale folder me ek script name ka folder milega. Us folder me 2 files hogi unko copy karke aapko gta sanandreas game me neeche bataye huye folder me paste karna hai.
ROCKSTAR\GTA SAN ANDREAS\DATA\SCRIPT And Then Paste
19. main.scm aur script dono file ko script folder ke under paste karde.
Yeh sab karne ke baad aapki GTA Sanandreas Pc Game me Superman Mod Install ho jayega, aur ab aap apni game me Superman ban ke uski power ka use kar sakte hai.
Game Me Superman Mod Activate Kaise Kare And Superman Controls
Dosto is poore proccess se aapki game me superman mod install toh ho jayega. But install karne ke baad usko game me activate bhi karna padega. Superman Mod activate karne ke liye aap neeche likhe steps follow kare.
Superman Mod Activate karne ke liye aapko BEKKNQV cheat lagani hogi. Aap is cheat ko dowara laga kar superman mod deactivate bhi kar sakte hai. Cheat lagane ke baad aap me superman ki saari powers aa jayegi.
Agar aap superman ko udana matlab fly karwana chahte hai, toh aapko Jump+Crouch key press karni hai. matlab Space+V dono same time press karni hai. Agar aap superman ki power increase karna chahte hai, toh aapko lagatar Y Press kare aur decrease karni hai,toh aapko N Ko lagatar press karna hai.
Agar aapka player fly nahi karta, toh aap 7 – 8 baar Y Key press karke uski power increase kare, aur fir Space+V Dono key ek saath press kare. Jis se woh fly karne lag jayega.
Dosto post thodi lambi ja chuki hai, magar mujhe umid hai aapko is detail post se superman mod install karna aa geya hoga. Agar aapko fir bhi koi problem aati hai, toh aap neeche comment me bata sakte hai. main aapki puri help karuga.
Agar aapko GTA Sanandreas Me Superman Mod Install Kaise Kare In Hindi post achi lagi, toh is post ko apne friends ke saath share jarur kare.