Mobile Internet Speed Increase Aur Boost Kaise Kare | Best Tips

Mobile Internet Speed Increase Aur Boost Kaise Kare | Best Tips: Dosto aaj kal internet speed slow hona aam baat hai. Jyadatar india me internet speed ki bahut problem hai. Magar jio ke aane se india me internet speed kafi boost up huyi hai. Internet speed decrease jani kam hone ke bhaut saare karn ho sakte hai. Aaj hum inhi karan ke baare me baat karenge.

Internet Speed Increase karne ke liye main aapko kuch simple tips bataunga, jiski maddad se aap apni internet speed ko fast kar sakte hai. Jo bhi tips main aapse share karunga aap un tips ka sahi use karke, apni internet speed boost up kar sakte hai.

mobile internet speed increase kaise kare

Agar aapke paas 4G ja fir Wifi internet connection hai, aur fir bhi aapki internet speed kafi kam hai, toh aapke device me koi problem hai. Example virus, bahut saara extra saved data, cached file aur bahut saare installed apps hone ki wajah se aapki internet speed slow ho sakti hai.

Toh chaliye jyada time na lagate huye jaan lete hai ke Mobile Internet Speed Increase Boost Kaise Kare:

Internet Speed Increase (Boost-Up) Kaise Kare

1. Mobile Ki Extra Files Aur Cache Data Clear Kare

Sabse pehle toh apne smartphone ki cache memory ko clear kare. Cache memory Full hone se aapka phone slow ho jata hai, jis se aapki internet speed bhi slow ho jati hai. Toh is liye samay samay par apne android mobile ki cache memory clear karte rahe.

Cache memory clear karne ke saath saath phone me store extra files jo aap use nahi karte ho un sab ko remove karde. Aisa karne se aapke phone ki storage khali hogi. Jiski wajah se aapke phone par kam load padega.

2. Phone Se Useless App Ko Uninstall Kare

Agar aapke phone me kuch aise apps hai, jinka istemal aap nahi karte, toh aap un apps ko uninstall karde. Kyuke yeh aap background me chalte rehte hai, aur aapke phone ki memory use karte hai. Jiski wajah se aapka phone slow hone ki wajah se internet speed bhi decrease ho jati hai.

3. Best Mobile Browser Select Kare Aur Hamesha Update Rakhe

Apne android mobile me ek badiya browser install kare. Ek badiya internet browser aapki internet speed ko kafi increase kar dega. Main aapko UC Browser Aur Chrome Browser Recommend karunga. Jab aapke browser ka new latest update aaye toh, usko update jarur kare.

4. Mobile Me Acha Antivirus Install Kare

Kayi baar aap kuch aisi website open kar lete hai, jis se aapke phone me virus aa jata hai, aur bahut saari pop-up ads open hone lag jati hai. Jis se aapke phone kafi slow ho jata hai, aur internet speed par bhi bad effect padta hai.

Is liye aap ek acha antivirus aapne phone me install jarur kare. Aapko internet par bahut saare free aur paid antivirus mil jayenge.

5. Apne Android Apps Aur Software Ko Update Rakhe

Android phone me hamesha bug aate rehte hai, in bugs ko door karne ke liye aapka mobile operator aapke phone ke liye new update nikalta rehta hai. Aapko jab bhi koi update ka notification aaye, toh aap turant apne phone ke apps aur software ko update karle.

Dosto upar batayi huyi tips ki help se aap apni mobile internet speed increase kar sakte hai. Agar aapko bhi aisi koi tips pata ho, toh aap neeche comment me jarur bataye.

Aapko “Mobile Internet Speed Increase Aur Boost Kaise Kare | Best Tips” Post kaisi laggi aap neeche comment karke bata sakte hai. Agar aapko yeh post achi lagi toh isko like aur share karna mat bhule.

Agar aap Is trah ke new updates ke notification apne email me pana chahte hai, toh aap is blog ko subscribe kar sakte hai, aur iske ilawa aap BlogForIndia Youtube Channel ko bhi subscribe jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (4)

Leave a Comment