Jis Free hosting ke baare me main batane ja raha hu uska istemal sirf wordpress seekhne me kare agar aap is free hosting par apni original website bana lenge aur is par traffic aana shuru ho jayega toh aapki site down ho jayegi is liye yeh sirf wordpress ko seekhne ke liye hi badiya hai toh chaliye jyada time na lagate huye wordpress Installing shuru karte hai.
WordPress Par Free Hosting Se Website Kaise Banaye
Basic Requirement –
. Computer
. Internet Connection
. Email Id
. Online Free Credit Card Kaise Banaye
. Window Pendrive Me Bootable Kaise Banaye
* Sabse pehle Free Hosting ke liye webh.co website open kare.
* Get Free Webhosting par click kare.
* Fir aapko website par register karna hai.
1. Domain – Apne pasand ka koi bhi name select kare.
Example – hktricks
yeh aapka domain name hoga jo free milega iske last me .webh.co apne aap lag jayega.
Domain Preview – hktricks.webh.co
2. Password – Cpanel Ke liye password enter kare password notepad par likh kar rakh le iski aage jarurat padhegi.
3. Email address – Apni Email Id Enter kare.
4. Category – Select Kare.
5. Site Language Select kare.
6. Security Code Enter kare.
7. Register par Click kare.
* Fir aapne jo email id enter ki hai us par ek email aayega usme ek link hoga us par click kare.
* Link par click karne ke baad ek page open hoga usme aapke hosting account ki detail hogi.
1. Control Panel Username – Cpanel me login karte samay yeh username enter karna hai.
2. Control Panel Url – Is Link par click karke cpanel login page par jaye.
Note. Cpanel username ko kahi par note karke rakh laye.
* Cpanel Login Page
* Cpanel Username enter kare.
* Password – Register karte samay jo password aapne rakha tha usko enter kare.
* Login Par Click kare.
* Fir Aapke samne Cpanel Open Ho jayega.
* Cpanel me Software / Services Category me Softaculous ko select kare.
* Fir Aapke samne wordpress ka logo dikhega us par mouse le ja kar install par click kare
* Next page me aapko site ke liye settings karni hogi.
Software setup –
1. Chose Protocol – www select kare.
2. In Directory – isme wp likha hoga usko delete karde.
Site Settings –
1. Site Name – Apni Website ke liye Title likhe.
2. Site Description – Apni site ke liye kuch word likhe kiske baare me hai aapki site.
Admin Account –
1. Admin Username – New Username enter kare.
2. Admin Password – New Password Enter kare.
3. Admin Email – Apni Email id Enter kare.
Note. username and password jo apne abhi enter kiya hai usko wordpress me login karte samay use karna hai.
Select Theme –
* Koi bhi Theme select kare.
Last Step.
1. Apni email id enter kare.
2. Install Par Click Kare.
Fir Site Install Hone Lagg jayegi.
* Fir jaise neeche pic me hai waisa ek page khulega usme aapki site ki detail hogi.
1. Yeh Aapki site ka domain hoga is domain par click karke aap website open kar sakte hai.
2. Administrative URL – WordPress Site manage karne ke liye aapko is link par click karna hoga.
. Blogger Par Free Blog Kaise Banaye
. Bluetooth Se Wifi Internet Connection Share Kaise Kare
Congratulations Ab aapki wordpress website ready hai aap domain par click karke dekh sakte hai.
WordPress Dashboard Kaise Open Kare.
* Administrative URL par click kare fir aapke samne wordpress dashboard login page khulega.
1. Apna WordPress Username Enter kare.
2. WordPress Password Enter kare.
3. Log In par click kare.
* Fir aapki website ka dashboard open ho jayegi jiski maddad se aap apni website ko manage kar sakte hai.
Is post me hamne wordpress installation ke bare me jana aur aage ki post me hum wordpress blog ke feature jaise theme, plugin And designing ke bare me janege.
Dosto umeed karta hu aapko free hosting se wordpress website create kaise kare post achi lagi hogi ab aap bhi free hosting se site banaye aur agar aapko koi bhi problem aaye toh aap comment ke jariye bata sakte hai.