GTA 5 Me Car And Bike Mods Install Kaise Kare: Hello dosto aaj hum janege ke gta 5 pc game me mods install kaise kare. Is se pehle humne gta vice city and gta sanandreas me mod install karne ke baare me jana tha. Dosto aapko pata hi hoga gta 5 kitna acha game hai, aur usme bahut trah ki cars and bike hai. But aaj main aapko gta 5 me new cars, bikes, boats and bicycle add kaise kare iske baare me detail se batauga.
Dosto yaha par main jo method batuga uski help se aap koi bhi new cars jaise tesla roadster, ferrari, Lamborghini aur iske ilawa aur bhi jitni new cars launch huyi hai, unko gta 5 me install kar sakte hai. Aap kuch cars mods install karke gta 5 ko aur jyada modern look de sakte hai.
GTA 5 mods install karne se pehle aapko kuch tools ki jarurat padegi. Jo aap neeche dekh sakte hai.
Requirement Tool:-
Toh chaliye jyada time na lagate huye jaan lete hai, ke GTA 5 Me Car And Bike Mods Install Kaise Kare
GTA 5 Me Cars And Bike Mods Install Kaise Kare Step By Step
1. Sabse pehle aapko gta5-mods.com Website par jana hoga, aur waha se jo car ja fir bike aapko pasand aaye uska mod download kar lena hai.
2. Mod download karne ke baad aapko OpenIV Tool Download karke apne pc me install karna hoga, aur GTA 5 folder ko select karke continue par click karna hai.
3. OpenIV Software install karne ke baad open kare. Fir aapke neeche pic me batayi huyi option select karni hai.
4. Iske baad software open ho jayega. fir aapke Tool par Click karke ASI Manger par click karna hai.
5. Ab aapke samne ek window open hogi usme se ASI Loader and OpenIV.ASI dono option ke samne install aur yes par click karde aur iske baad window ko close karde.
Note. Agar aapko install ki wajaye uninstall ki option dikhayi de toh fir aapko kuch nahi karna hai. yeh dono option pehle se hi install honge.
6. Ab aap GTA 5 Game folder me jaye waha par aapko ek mod name ka new folder milega. Aapko simple Update Folder ko copy karke us mods folder me paste karna hai.
7. Ab aapko OpenIV Software open karke Edit Mode par click karke edit mode enable karna hai.
8. Ab aapne jo mod download kiya hoga woh zip file me hoga usko winrar software ki help se bahar extract karle, aur aapko ek Add on name ka folder milega usko open karle.
9. Add On folder me aapko ek file milegi, aur ek instruction text file aapko sabse pehle text file oepn karni hai. Yeh kuch aisi dikehgi.
10. Sab mods me text file aisi same dikhegi bus usme mods ka name aur dlcpacks line alag hogi. Aapko upar pic me jo red box me instruction dikh rahe hai, woh follow karni hai.
11. Sabse pehle aapko upar jaise maine bataya tha openiv software open karke edit mode enable karna hai.
12. Fir aapko jo text file me location batayi hai usme jana hai openiv software ki help se aap neeche screenshot dekh sakte hai.
13. Dlcpacks folder me jane ke baad aapko right click karke new folder create karna hai, aur uska name aapko aapki text file me mil jayega jaise meri text file me mujhe tr22 name rakhne ke liye bataya hai. Agar aap koi aur mod install karoge toh usme aapko koi aur name rakhne ke liye bataya jayega.
- GTA Vice City And Sanandreas Me Mod Install Kaise kare
- GTA Liberty City Game Android Mobile Me Download Kaise kare
Note. Aapko jo name instruction text file me bataya jaye aap wohi hi rakhe nahi toh mod kaam nahi karega.
15. Folder create hone ke baad aap folder me jaye aur right click karke Add par click kare.
16. Iske baad aapne jo mod download kiya tha uske folder me jana hai, aur waha par aapko Add-on name ka folder milega usko open kare, fir usme file name ka ek aur folder milega usme aapko ek dlc.rpf name ki ek file milegi. usko select karke open karna hai.
Ab aapke mod ki file game me add ho gayi hai. But abhi aapko dlclist.xml file me mod ki kuch line add karni hogi. Jo aap neeche step by step jaan sakte hai.
Dlclist.xml File Me Mod Line Add Kaise Kare
- Fisrt aapko last me dlclist.xml me ek line add karni hai. yeh line aapko instruction text file me mil jayegi. Yeh kuch aisi hogi. <item>dlcpacks:\tr22\</item>
Note. Yeh line har mod ke liye alag hoti hai. yeh bhi aapko mod folder me text file me mil jayegi.
2. dlclist.xml me line add karne ke liye aapko neeche screenshot me batayi huyi location me jana hoga, aur dlclist.xml par right click karke edit par click karna hai.
3. Edit par click karne ke baad aapke samne ek new window open hogi aapko usme </Paths> se pehle woh line paste karni hai.
4. Aapko upar wale screenshot ki trah line add karni hai aur save button par click karna hai. But dhiyan rahe jo line aap add karoge woh upar wali line se starting me align ho.
Save karne ke baad aapko OpenIV software close kar dena hai. Ab aapka mod succesfully install ho chuka hai.
Ab aapko GTA 5 me Enhanced Native Trainer install karna hai. Iski help se aap game me koi bhi vehicle spawn jani le sakte hai.
GTA 5 Me Enhanced Native Trainer Install Kaise Kare
1. Sabse pehle aapko ScriptHookV And Enhanced Native Trainer Dono ko Download karna hoga. Yeh dono zip file me hogi unko extract karle.
2. ScripthookV folder ko open kare aapko usme bin name ka ek folder milega. Usme se aapko first aur 3rd file dono ko copy karke Gta 5 game folder me paste kar dena hai.
3. Fir aapko Enhanced Native Trainer me 3 files milegi, unko bhi aapko copy karke gta 5 folder me paste kar dena hai.
Ab aapko game open karna hai, aur jab game play hone lag jaye toh aapko F4 key press karni hai. Fir aapke samne upar ki aur left side me ek Yellow colour ka box open hoga.
Note. Agar aapke samne 2 box open ho jaye, ek blue aur yellow toh aapko backspace press karke blue box ko band kar dena hai.
Ab aapko menu me se Vehicle ki option select karni hai, aur uske baad vehicle spawner option select karni hai.
Fir aapke samne last me Enter name manually ki option dikhayi degi. Aapko usko select karna hai.
- GTA Vice City Game Android Mobile Me Download Kaise Kare
- GTA 5 PC Game Free Me Download Kaise Kare | Easy Method
Ab aapne jo mod install kiya tha uska name enter karna hai. Jaise hamne jo car mod install kiya tha uska name tr22 tha toh hame box me tr22 likh kar enter press karna hai. Mod name aapko mod ki text instruction file me mil jayega.
Jaise hi aap enter press kardoge toh jo car ja bike aapne install ki hogi woh aapke samne aa jayegi.
Note. Aapko option select karne ke liye numeric key ka istemal karna hoga. Jaise option me upar jane ke liye 8 press karna hoga, aur neeche jane ke liye 2 press karna hoga, aur left jane ke liye 4 aur right ke liye 6 and option select karne ke liye 5 press karna hoga. aur Jo keyword par right side me numeric key hoti hai wohi press karni hai.
Dosto yeh process dekhne me long lag sakta hai. But agar aap is post ko pehle ache se samj le, toh aapko mods install karne me hardly 5 minute lagenge.
Toh dosto aapko GTA 5 Me Car And Bike Mods Install Kaise Kare post kaisi laggi aap neeche comment karke jarur bataye.
i was looking for trick but never found it on net.. thanks for the article you wrote and shared with us..
बहुत अच्छा लेख है सर
i was looking for trick but never found it on net.. thanks for the article you wrote and shared with us..
बहुत अच्छा लेख है सर