GTA Vice City Game Android Mobile Me Download Aur Install Kaise Kare

GTA Vice City Game Android Mobile Me Download Aur Install Kaise Kare: Hello dosto Aaj hum baate karenge Gta Vice city Game ke baare me. Yeh game kuch time pehle bahut famous huya karti thi.

GTA Vice City Game Android Mobile Me Download Kaise Kare

But Aaj iski jagah Gta 4 Aur GTA 5 ne leli hai. Sahid aap me se bahut saare logo ne isko apne computer ja laptop me jarur play kiya hoga.

Magar kuch log aise bhi hai jinke paas Pc ja computer nahi hai, aur woh bhi GTA Vice city game khelna chahte hai.

Toh is liye aaj main Iska solution le kar aaya hu jiski help se aap is game ko apne android smartphone mobile me bhi khel sakte hai.

Dosto aap is game ko kisi bhi android mobile me play kar sakte hai. Bas us smartphone ki ram kam se kam 1 Gb honi chahiye.

Aaj kal toh 6 aur 8 gb wale bhi android mobile milne lag gaye hai. par is game ko run karne ke liye 1 gb ram kafi hai.

Agar aapke paas thode paise hai, toh aap gta vice city ko playstore se direct Rs. 156 de kar bhi download kar sakte hai.

Agar aap gta vice city game ko free me download karna chahte hai, toh aap yeh post read karte jayie. Is post me main aapko ek aisa method bataunga Jiski help se aap bina koi paise diye free me game download kar sakte hai.

Yaha par main jo method batane ja raha hu us se game download toh jaldi ho jayegi. magar usko install karna aapko sahid thoda mushkil lage.

But itna bhi mushkil nahi hai, aap bas jaisa main kahu waise hi karte jaye. Toh aap kuch hi minutes me game ko install karke run kar sakte hai.

Minimum Requirment

  • Android Mobile
  • Wifi or 4G Intenet Connection
  • ES File Explorer Android App

Toh chaliye jyada time na waste karte huye jaan lete hai ke GTA Vice City Game Android Mobile Me Download Aur Install Kaise Kare

Mobile Me GTA Vice City Android Game Ko Free Me Download Aur Install Kaise Kare

Game download karne se pehle aap apne wifi se connect ho jaye kyuke yeh game bahut wada hai. isliye agar aap isko mobile data se download karoge.

Toh ho sakta hai aapka saara data khatam ho jaye, aur agar aap jio use karte hai, toh sahi hai.

Iske ilawa aap yeh bhi check karle ke aapke mobile ki ram kam se kam 1gb hai ja nahi, agar aapki ram 1 gb se kam hogi toh yeh game aapke mobile me hang karegi.

1. Sabse pehle aapko is link Gta Vice City Download Link (Click Here To Download) par click karke game ke download page par chale jaye.

2. Fir aap us page ko scroll down kare aur fir aapko neeche jaise screenshot me dikh raha hai waise 2 downloading ko button honge.

apk or zip file

3. Aapko In Dono APK or Zip File ko download karna hai.

4. Jab dono files download ho jaye, toh aapko sabse pehle zip file ko open karna hai.

Note. Kuch phone me aap zip file ko open kar sakte hai. magar baki ke device me zip file open karne ke liye aap Playstore se ES File Explorer App ko download kar sakte hai.

5. Zip file open karne ke baad aapko usme ek com.rockstargames.gtavc name ka folder milega. Usko aapne bahar extract matlab bahar nikal lena hai.

6. Folder extract karne ke baad aapko us folder ko neeche batayi huyi jagah par move karna hai.

sdcard/Android/obb/

Note. OBB folder ke andar game folder move karde. Agar aapko yeh step follow karne me koi problem aa rahi ho toh aap Android Game Ko Obb File Se Install Kaise Kare Post read kar sakte hai. Jisme maine iske baare me detail me bataya hai.

Agar aapke mobile me android folder ke andar obb name ka folder na ho, toh aap new create kar sakte hai.

7. Ab aapne jo ek aur apk file download ki thi usko install kare, aur install karne ke baad aapke gta vice city game android mobile me chalne lag jayegi.

Toh dosto aapko “gta vice city game android mobile me download aur install kaise kare” post kaisi lagi aap neeche comment karke jarur bataye.

Is trah ke aur new latest updates ki information apne email ke jariye pane ke liye aap is blog ko subscribe kar sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (27)

  1. Bro kahi kahi toh yeah bataya geya hai ki apko zip file ko internal memory par android/obb me paste karna hoga nahi to apki GTA nahi chalege lakin yahape to apne bataya ki sdcard me android/obb me game paste carne she bhi salega?

    Reply
    • aapne agar mobile ki default storage location me sd card select kiya hai, toh aapko sd card me folder paste karna hai. agar aapne internal storage ko default rakha hai toh internal storage me folder paste karde.

      Reply
  2. Achhe trike se btaya hai aapne isme, but kya ish se mobile hanq nhi hoga,

    Waise kya iske alwa bhi koi game hai jiski size low but graphics achhe ho.

    Reply
    • agar aapka mobile kafi low spec wala hai toh usme thodi hang ho sakti hai. But abhi jo mobile aa rahe hai, usme yeh bilkul perfect chalegi.

      Reply
  3. Bro kuch samj nhi ara he to tun bta sakte kya muje jo ye game GTA bina pareshani ke chale whatsap par bta sakte ho kya thanks itna btane ke liye

    Reply
    • simple aapko 2 steps follow karne hai first step me aapko obb file ko apne android mobile ke folder sdcard/Android/obb ke andar paste karna hai. second step me aapko gta vice city ki apk file ko install karna hai. yeh dono steps complete karne ke baad aap mobile me gta vice city game khel sakte hai.

      Reply

Leave a Comment